halqe nahin hain zulf ke halqe hain jal ke han ai nigah-e-shauq zara dekh-bhaal ke pahunche hain ta-kamar jo tere gesu-e-rasa mani ye hain kamar bhi barabar hai baal ke bos-o-kanar-o-wasl-e-hasinan hai khub shaghl kamtar buzurg honge khilaf is khayal ke qamat se tere sane-e-qudrat ne ai hasin dikhla diya hai hashr ko sanche mein dhaal ke shan-e-dimagh ishq ke jalwe se ye badhi rakhta hai hosh bhi qadam apne sambhaal ke zinat muqaddama hai musibat ka dahr mein sab shama ko jalate hain sanche mein dhaal ke hasti ke haq ke samne kya asl-e-in-o-an putle ye sab hain aap ke wahm-o-khayal ke talwar le ke uthta hai har talib-e-farogh daur-e-falak mein hain ye ishaare hilal ke pechida zindagi ke karo tum muqaddame dikhla hi degi maut natija nikal ke