tum yun hi samajhna ki fana mere liye hai par ghaib se saman-e-baqa mere liye hai paigham mila tha jo husain-ibn-e-ali ko khush hun wahi paigham-e-qaza mere liye hai ye hur-e-bahishti ki taraf se hai bulawa labbaik ki maqtal ka sila mere liye hai kyun jaan na dun gham mein tere jab ki abhi se matam ye zamane mein bapa mere liye hai main kho ke teri rah mein sab daulat-e-duniya samjha ki kuchh is se bhi siwa mere liye hai tauhid to ye hai ki khuda hashr mein kah de ye banda do-alam se khafa mere liye hai surkhi mein nahin dast-e-hina-basta bhi kuchh kam par shokhi-e-khun-e-shohda mere liye hai rahil hun musalman ba-sad-nara-e-takbir ye qafila ye bang-e-dara mere liye hai inam ka uqba ke to kya puchhna lekin duniya mein bhi iman ka sila mere liye hai kyun aise nabi par na fida hun ki jo farmae achchhe to sabhi ke hain bura mere liye hai ai shafa-e-mahshar jo kare tu na shafaat phir kaun wahan tere siwa mere liye hai allah ke raste hi mein maut aae masiha iksir yahi ek dawa mere liye hai ai chaaragaro chaaragari ki nahin hajat ye dard hi daru-e-shifa mere liye hai kya dar hai jo ho sari khudai bhi mukhalif kafi hai agar ek khuda mere liye hai jo sohbat-e-aghyar mein is darja ho bebak us shokh ki sab sharm-o-haya mere liye hai hai zulm tera aam bahut phir bhi sitamgar makhsus ye andaz-e-jafa mere liye hai hain yun to fida abr-e-siyah par sabhi mai-kash par aaj ki ghanghor ghata mere liye hai