ham-dosh-e-arzu jo na ‘azm-e-jawan rahe

ham-dosh-e-arzu jo na ‘azm-e-jawan rahe
manzil rahe koi na koi karwan rahe

ruhon ke ek khas ta'alluq ke bawajud
jismon ke fasle bhi sada darmiyan rahe

soz-e-khulus dard-e-mohabbat gham-e-wafa
ye qafila bhi sath raha hum jahan rahe

hum ‘alam-e-khayal se aage na badh sake
jab tak kharab-e-manzil-e-wahm-o-guman rahe

ai inqalab-e-nau teri raftar dekh kar
khud hum bhi sochte hain ki ab tak kahan rahe

go manzil-e-hayat bahut sakht hai magar
'shaukat' hujum-e-gham mein bhi hum shadman rahe


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close