ayagh-e-dil na bhara tha magar chhalak bhi gaya

ayagh-e-dil na bhara tha magar chhalak bhi gaya
ki ek qatra-e-khun kar ke nam palak bhi gaya

badan qafas sahi ruhen bhi aashna na huin
teri talash mein hadd-e-junun talak bhi gaya

kuchh is ko pane ka tab bhi yaqin tha ab bhi nahin
dikha ke garche wo mauhum si jhalak bhi gaya

rasa hua na hua bhed khul nahin paya
jo ek nala-e-shab jaanib-e-falak bhi gaya

rida-e-abr bala-e-hawa se chaak hui
to kya hai sar se jo aanchal tera dhalak bhi gaya

sira bhi hath mein tha kholne ki fikr bhi thi
magar wo uqda-e-pur-pech-o-gunjlak bhi gaya

ye ins-o-jaan sada se khata ke putle the
pa ho ke randa-e-dargah ab malak bhi gaya


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close