ham-nashin jis ko samajhta tha sitamgar nikla aastin mein wo chhupae hue khanjar nikla ye bhi achchha hua barson ka bharam tut gaya hira samjha tha jise hae wo patthar nikla tu to kahta tha tere pyar mein rakkha kya hai dil jo chira to mohabbat ka samundar nikla main to samjha tha nahin hai koi arman baqi dil mein jhanka to tamannaon ka lashkar nikla kyon kisi aur pe ilzam lagaun beja dil mera todne wala mera dilbar nikla yak-ba-yak hone lage zakhm hare sine ke dard aankhon se mere dil ka simat kar nikla