hamesha manna ai yar mashwara dil ka kabhi ghalat nahin hota hai faisla dil ka bada ajib hai yaro moamla dil ka gham-o-alam se hai din raat wasta dil ka alawa is ke na hamdam na koi rahbar hai hujum-e-gham liye phirta hai qafila dil ka kabhi khushi se kabhi gham mein kyon dhadakta hai samajh mein kuchh nahin aata hai falsafa dil ka tamam jism ke aaza pe hukmrani hai khuda ne khub banaya hai martaba dil ka milen to milne ki rahti hai aarzu dil mein ulajh raha hai kai din se masala dil ka tujhe banaenge apna banaenge apna koi badal nahin sakta hai faisla dil ka agar aziz hai tum ko sukun-e-dil yaro banae rakhna hasinon se fasla dil ka ghamon ka bojh masaib hon ya pareshani kabhi na chhodna ai 'dard' hausla dil ka