ham-nashin zid na kar ahwal batane ke liye gham chhupane ke liye hai ki sunane ke liye dil mila sina mila jism mila jaan mili dagh khane ke liye ranj uthane ke liye dur hi se wo mujhe dekh kar un ka kahna phir ye hazrat chale aate hain satane ke liye imtihan ishq-o-hawas ka hai kal us mahfil mein ruqe ab batte hain jaan-bazon ke aane ke liye chahiye tha tere ushshaq ko dil do milte ek tujhe dene ko ek naz uthane ke liye ahd-e-farhad hua hum se to pahle warna jate kambakht ka hum hath batane ke liye yahi behtar hai ki chupka rahun jhagda chuk jae warna baaten hain bahut baat badhane ke liye hosh se kyon na ho pyari mujhe ye be-hoshi aae to lakhlakha-e-zulf sunghane ke liye kar diya ishq ne har shakhs se bad-zan mujh ko ab kise bhejun wahan un ko bulane ke liye ai dil us ko bhi hai dar-parda mohabbat teri sitam-o-jaur hain ghairon ko dikhane ke liye hum se aashiq ki mohabbat nahin dekhi jati us ne ye uzr nikala hai na aane ke liye chhod kar waz karo baada-faroshi waiz peshe bahutere hain duniya mein kamane ke liye faeda aur to kuchh charkh-e-sitamgar se nahin ye hasinon ko hai bedad sikhane ke liye ghar se kis be-khudi-e-shauq mein nikla hai 'khayal' apne ruthe hue dilbar ko manane ke liye