jab na tha ishq ye azab na tha aatish-e-gham se dil kabab na tha jin dinon ghair baryab na tha main wahan maurid-e-itab na tha jab ki wo umr the shabab na tha ye naqab aur ye hijab na tha wo khafa ho ke ho gae khamosh ya meri baat ka jawab na tha na raha dil padi jo us pe nigah mauj ke aate hi habab na tha tere jaan-baz ki dileri wah tah-e-khanjar bhi iztirab na tha khair guzri jo mohtasib aaya samne saghar-e-sharab na tha soz-e-gham dud-e-ah sail-e-sarishk hijr mein kaun sa azab na tha lab-e-dariya tha sair ke qabil kya mera dida-e-pur-ab na tha dil mein tha walwalon ka josh-o-kharosh ek tufan tha shabab na tha aaj hi kya naya hai soz-e-jigar kya kaleja mera kabab na tha sair ko nikle wo jo ghair ke sath kaun sa fitna ham-rikab na tha kya sanbhalta bigad kar apna haal kuchh zamane ka inqalab na tha us ki mahfil mein shab ko sab the 'khayal' sirf ek main hi baryab na tha