ham-nawa milta to aawaz ka sauda karte hum kahan aa gae parchhain ka pichha karte rang-o-bu zehn ki diwar bane hain warna teri taswir banate teri puja karte din se din hote na ye raat si raaten hotin kisi hamdard se jo dard ka rishta karte koi gham panw ki zanjir kahan tak hoga jogiya pahn ke bazar mein ghuma karte ye bhi kya kam hai tere nam pe jite hain abhi hont jal jate agar hum koi shikwa karte koi khandar koi girti hui diwar sahi kat gai umr yahan jism ko saya karte