bhatak raha hun khalaon mein gum-shuda ki tarah sukut-e-sang ne thukra diya sada ki tarah mere wajud ko pighla rahi hai barf ki aanch magar wo chup si lagi hai mujhe khuda ki tarah ajib shahr hai parchhaiyan chamakti hain har ajnabi mujhe lagta hai aashna ki tarah chala tha ghar se nikal kar pahad ki jaanib palat ke aa gaya basti mein phir sada ki tarah dhari rahegi ye khushbu ki khokhli zanjir har ek rang se ud jaunga hawa ki tarah giri thi os jo kal shab badan ke sahra mein ye baat phail gai shahr mein waba ki tarah hamein hawaon ki thokar bhi ras aa na saki pade hain waqt ke raste mein naqsh-e-pa ki tarah