ham-rang laghari se hun gul ki shamim ka tufan-e-baad hai mujhe jhonka nasim ka chhoda na kuchh bhi sine mein tughyan-e-ashk ne apni hi fauj ho gai lashkar ghanim ka yaran-e-nau ke waste mujh se khafa hue tum ko nahin hai pas niyaz-e-qadim ka yaad aai kafiron ko meri aah-e-sard ki kyunki na kanpne lage shoala jahim ka az-bas-ki sabt-e-nama hai soz-e-tap-e-darun qasid ka hath hai yad-e-baiza kalim ka waiz kabhi hila nahin ku-e-sanam se main kya jaanun kya hai martaba arsh-e-azim ka mara hai wasl-e-ghair ke shikwe pe chahiye madfan juda juda meri lash-e-do-nim ka kahta hai baat baat pe kyun jaan kha gae goya ki pak gaya hai kaleja nadim ka waiz buton ko khuld mein le jaenge kahin hai wada kafiron se azab-e-alim ka 'momin' tujhe to wahb hai momin hi wo nahin jo mo'taqid nahin teri tab-e-salim ka