KHirad-gazida junun ka shikar yani main

khirad-gazida junun ka shikar yani main
mila tha gham ko bhi ek gham-gusar yani main

mohabbaten na lutata to aur kya karta
wufur-e-shauq ka aaina-dar yani main

azim chaak pe thi inkisar ki mitti
bana tha kuza koi shahkar yani main

chamak raha tha muafiq teri tawajjoh ke
khulus-o-mehr-o-wafa ka dayar yani main

mere khuda nahin thamta ye zulm ka tufan
aur us ke samne musht-e-ghubar yani main

hui thi jab bhi tere iltifat ki barish
lahak utha tha tarah lala-zar yani main

zahe-nasib hawadis mein bhi nahin tuta
tera ghurur tera iftikhar yani main

hai mustaqil mere sine mein dard yani tu
na rah saka tere dil mein qarar yani main

har ek baat meri kar raha tha rad 'raghib'
mere sukhan pe tha koi sawar yani main


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close