ham-sae se talab karun pani ke baad kya rahta hai hosh naql-e-makani ke baad kya ye kaisi tod phod hai shahr-e-wujud mein aatank mach gaya hai jawani ke baad kya pani ke panw katne pe tul gae ho tum dariya mein bach rahega rawani ke baad kya baaton ke sath munh se tapakne laga hai khun mar jaunga main hijr-bayani ke baad kiya un ko bataunga jinhen huron se ishq hai dar-asl hoga aalam-e-fani ke baad kya main dekhta hun aankh mein khwabon ki mayyaten tum dekhte ho ashk-fishani ke baad kya sheron pe zulm karte hain jo jaante nahin karna hai kaam misra-e-sani ke baad kya kyun lafz lafz khodte ho sher ko 'kabir' shair nikalna hai maani ke baad kya