apni ana se bar-sar-e-paikar main hi tha sach bolne ki dhun thi sar-e-dar main hi tha sazish rachi gai thi kuchh aisi mere khilaf har anjuman mein bais-e-azar main hi tha sau kartabon se zakhm lagae gae mujhe shayad ki apne ahd ka shahkar main hi tha lamhon ki baz-gasht mein sadiyon ki gunj thi aur aagahi ka mujrim-e-izhaar main hi tha tahzib ki ragon se tapakte lahu mein tar dahliz mein pada hua akhbar main hi tha 'ajmal' safar mein sath rahin yun saubaten jaise ki har saza ka saza-war main hi tha