ham-safar hai na ham-nawa koi

ham-safar hai na ham-nawa koi
hoga hum sa shikasta-pa koi

ek nazar kya mila gaya koi
ek qayamat utha gaya koi

dekho nazren chura ke mat jao
tum ko kah de na bewafa koi

dard dete ho do magar aisa
jis ki phir ho na intiha koi

jis rah-e-ishq par chala hun main
ibtida hai na intiha koi

sar to khud jhuk gaya hai sajde mein
jab tasawwur mein aa gaya koi

mujh ko sajdon se kuchh gurez nahin
ho na jae magar khuda koi

main bataunga manzilon ka pata
mujh se puchhe to rasta koi


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close