hone ko to khilqat mein teri honge jahan aur par tera ye dar chhod ke jaun main kahan aur ye dair se bad-zan wo gurezan hai haram se jaise ki haqiqat ho yahan aur wahan aur rah jae na phir shikwa-e-bedad ka imkan sina jo hua chaak to kat jae ziyan aur hum kaun hain kya hain ye nahin jaante khud bhi hum sa bhi koi hoga bhala hech-madan aur taqlid tabiat ko gawara nahin ai 'nur' chalta hun banata hua khud apne nishan aur