ham-safar tha hi nahin raKHt-e-safar tha hi nahin

ham-safar tha hi nahin rakht-e-safar tha hi nahin
kuchh ganwane ka mujhe khauf-o-khatar tha hi nahin

mujh ko har sham jahan le ke tawaqqoa aai
dar-o-diwar to maujud the ghar tha hi nahin

ungliyan zakhmi huin tab mujhe ehsas hua
dastaken di thin jahan par wahan dar tha hi nahin

mujh se hi puchha kiye mere bikharne ka sabab
ahl-e-danish mein koi ahl-e-nazar tha hi nahin

dhul udai jahan khwabon mein musalsal main ne
kisi naqshe mein kahin par wo nagar tha hi nahin

kis pe ilzam rakhen kis pe lagaen tohmat
meri mitti mein simatne ka hunar tha hi nahin

yaad ek shakhs tha ek nam hi azbar 'tara'
siwa us ke koi ta-hadd-e-nazar tha hi nahin


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close