wo likhta hai jab yaadon ke chand sitare kaghaz par

wo likhta hai jab yaadon ke chand sitare kaghaz par
khud hi utar kar aa jate hain sare nazare kaghaz par

upar niche aage pichhe kone kinare kaghaz par
us ko likha hai sar se pa tak main ne sare kaghaz par

shayad is par sar rakh kar wo likhte likhte soya hai
us ke lab-o-rukhsar ki khushbu jazb hai sare kaghaz par

us ke khat ke kore waraq par khun ke aansu bikhren hain
jaise koi bhul se rakh de kuchh angare kaghaz par

'sajid' apne dil ke waraq par naqsh ise kar lena hai
apni ghazal mein kya rakha hai kaun utare kaghaz par


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close