ham-safar yaad hain us ke jo safar khatm hua jaane kab kaun si sazish ho ye dar khatm hua be-sabab sab ko hi sabqat ke junun ne mara aise bikhre hain ki rishton ka asar khatm hua eatibar uthte hi ye kaisa taghayyur aaya dil ka viran makan rah gaya ghar khatm hua shakh hi shakh ki dushman thi samar kya deta phulne-phalne se pahle hi shajar khatm hua jaanta tha ki mere git bhi kho jaenge tera mujh se jo talluq tha agar khatm hua hum to mail the ba-har-haal lahu dene par ek teri tarz-e-taghaful se jigar khatm hua us ko bas mujh ko dubone hi ki zid thi shayad main jo duba to mere sath bhanwar khatm hua