ham-safari ek dhoka tha malum nahin

ham-safari ek dhoka tha malum nahin
shayad sath main saya tha malum nahin

lamha lamha yakja karke dekhenge
kaun kahan kab bichhda tha malum nahin

jaane kaise us ne sahe ye zulm-o-sitam
andha gunga bahra tha malum nahin

diwane kya pyas bujhate ashkon se
sahra kitna pyasa tha malum nahin

aks tumhaare yaad tumhaari sath rahi
kaise bhid mein tanha tha malum nahin

jis dar se saughat kisi ne na pai
hath wahan kyon phaila tha malum nahin

kis ne ata ki khar-o-gul ko ranai
kaun chaman se guzra tha malum nahin

mang ujadi kangan tode bewa ne
rang-e-hina kab chhuta tha malum nahin

dair-o-haram mein ashkon ki barsat rahi
'sakhir' ne kya manga tha malum nahin


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close