gulon ko baKHsh ke zaKHmon ki tazgi maine

gulon ko bakhsh ke zakhmon ki tazgi main ne
bahaar-e-murda mein ek jaan dal di main ne

firaq-e-yar mein har sans umr-e-khizr hui
hayat pai hai qismat se daimi main ne

jala ke apne hi hathon se tinke tinke ko
mitai bakht-e-nasheman ki tirgi main ne

na jaane kaun si manzil hai dil ke pesh-e-nazar
ki khak-e-alam-e-imkan to chhan li main ne

tapak ke bah gae qalb-o-jigar bhi aankhon se
mazaq-e-girya ko samjha tha ek hansi main ne

sar-e-niyaz dar-e-naz se utha na saka
ki ek sajde mein takmil-e-bandagi main ne

machal ke rah gae aaghosh-e-chashm mein aansu
tadap ke zabt-e-mohabbat ki dad di main ne

yahan to marg-e-musalsal se pad gaya pala
ilahi zindagi mangi thi zindagi main ne

na mil saka kahin matlub-e-bandagi 'afsar'
tajalliyat ki duniya bhi dekh li main ne


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close