ham-zaban ho gae hum log shanasai hui shab ke sannaton mein jab ru-ba-ru tanhai hui aap ka bazm se uth jaana mere haq mein raha aap ke baad meri khub pazirai hui pyas zakhmi rahi zindan ke darwazon tak bahte dariyao kahan tum se masihai hui pahle kuchh abr ke tukdon sa tha larzan us par baad mein kya hua kyon shakl thi gahnai hui meri basti to dil-azar pasand basti hai kyon tere shahr mein mehman ki ruswai hui ek muddat hui jis lash ko dafnae hue aaj wo lash mili nahr mein utrai hui sirf miras-e-shahadat hi nahin hisse mein daulat-e-girya-e-mazlum bhi aabai hui