hamara din kabhi yun bhi shafaq anjam ho jae

hamara din kabhi yun bhi shafaq anjam ho jae
parinde jhil par qabza karen aur sham ho jae

kisi ka zikr chhedun istiaron mein kinayon mein
koi samjhe to shayad do ghadi kohram ho jae

tajjub hai agar har naqsh mauzu-e-sukhan thahre
tajjub hai agar be-chehragi ilzam ho jae

hamare baad mumkin hai sukhan takmil tak pahunche
hamare baad mumkin hai mohabbat aam ho jae

rag-e-jaan khinchti hai phir koi mithi kasak 'talib'
aur aise mein agar ek sans bhi nakaam ho jae


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close