![](http://cdn.pagalshayari.com/images/ghazal/hamara-husn-e-talluq-wafa-bane-na-bane-pandit-jawahar-nath-saqi-ghazal-english.jpg)
hamara husn-e-talluq wafa bane na bane wo ishwa-sanj hai farrukh-liqa bane na bane chale hain shauq mein hum ya-khuda bane na bane wo kya suluk kare dil-ruba bane na bane kiya tasawwur-e-maqsud ne hamein hairan ye muntaha-e-nazar muddaa bane na bane safina bahr-e-tashshuq mein ab to dal chuka jo aashna hai mera na-khuda bane na bane fareb-e-jalwa hai naqsh-o-nigar fitrat mein jo mahw-e-did ho hairat-ada bane na bane shahid-e-kaif-e-tamanna hai aashiq-e-betab bahaar-e-husn-e-safa ham-nawa bane na bane fusun khayal hai tahrik-e-shauq-e-ranai wo mast-e-naz mera khud-numa bane na bane bandhi hai khanda-e-zer-e-labi se kuchh ummid wo zud-ranj hai zud-ashna bane na bane wo jazb-e-qalb ke nairang ka hua qail hamara aaina hairat-numa bane na bane kabhi to jam-e-inayat ka ho ghani 'saqi' ye be-niyaz tera be-nawa bane na bane
This is a great nadeem farrukh shayari. Please share if you liked this!!!