hamara ishq salamat hai yani hum abhi hain wahi shadid aziyyat hai yani hum abhi hain usi purani kahani mein sans lete hain wahi purani mohabbat hai yani hum abhi hain na jaane kab se dar-e-dastan pe baithe hain aur intizar ki himmat hai yani hum abhi hain talab ke karb mein ek marg ke dua-go the talab mein waisi hi shiddat hai yani hum abhi hain kasi ke nam pe hum dosti nibhate the aur ab bhi waisi hi shohrat hai yani hum abhi hain talab badhati chali ja rahi hai apni hawas so qadre kham qanaat hai yani hum abhi hain kalam-e-'mir' ke sadqe mein sher hote hain jo bait hai so qayamat hai yani hum abhi hain ajab ye sher hain apne ki jin mein hum bhi nahin bas ek gham ki shararat hai yani hum abhi hain ye ishq peshgi dar-o-rasan ke hangame ye rang zinda salamat hai yani hum abhi hain amir-e-shahr hai bechain shaikh khauf-zada abhi talak ye adawat hai yani hum abhi hain na puri hai na adhuri ye dastan-e-alam koi suni si hikayat hai yani hum abhi hain