hamare ahd ka manzar ajib manzar hai bahaar chehre pe dil mein khizan ka daftar hai na ham-safar na koi naqsh-e-pa na rahbar hai junun ki rah mein kuchh hai to jaan ka dar hai har ek lamha hamein dar hai tut jaane ka ye zindagi hai ki bosida kanch ka ghar hai isi se ladte hue ek umr bit gai meri ana hi mere raste ka patthar hai tamam jism hain jis ke khayal mein larzan wo tirgi ka nahin raushni ka khanjar hai main ek qatra hun lekin mera nasib to dekh ki be-qarar mere gham mein ek samundar hai usi ke pichhe rawan hun main pagalon ki tarah wo ek shai jo meri dastaras se bahar hai isi khayal se milta hai kuchh sakun dil ko ki na-suburi to is daur ka muqaddar hai kabhi to is se mulaqat ki ghadi aae jo mere dil mein basa hai jo mere andar hai uqab-e-zulm ke panje abhi kahan tute abhi to fakhta-e-aman khun mein tar hai khuda ki mar ho is jehl-e-agahi pe 'hafiz' ba-zoam-e-khud yahan har shakhs ek payambar hai