ishq mein har nafas ibaadat hai mazhab-e-ishq aadamiyat hai ek zamana raqib hai mera jab se hasil teri rifaqat hai zindagi nam ranj-o-gham hi sahi phir bhi kis darja khubsurat hai ek mohabbat bhari nazar ke siwa aur kya ahl-e-dil ki qimat hai chand mukhlis jahan ikattha hun wo jagah ahl-e-dil ki jannat hai kaun suljhae gesu-e-dauran apni uljhan se kis ko fursat hai ek duniya tabah kar dale ek zarra mein aisi taqat hai sitam-dost ho ki lutf dost jo bhi mil jae wo ghanimat hai un ko dekhenge be-hijab 'hafiz' shauq-e-didar agar salamat hai