hamare dard ki jaanib ishaara karti hain faqat kahaniyan hum ko gawara karti hain ye sadgi ye najabat jo aib hain mere suna tha in pe to naslen guzara karti hain khud apne samne dat jati hain jo shakhsiyaten wo jitti hain kisi se na haara karti hain sharif log ki jaise sukut-e-ab-e-rawan kuchh ek maujen magar sar ubhaara karti hain badal gae hain irade to hasraton mein magar kuchh aarzuen abhi istikhara karti hain sitare un ki chamak mein samana chahte hain magar wo aankhen falak ko sitara karti hain baja hain apne masail baja hain apni hudud kahin kinaron se lahren kinara karti hain zaban-e-shahr to paiwand-e-khak-e-jahal hui magar wo mahfilen ab bhi pukara karti hain