rah ke makkaron mein makkar hui hai duniya mere dushman ki taraf-dar hui hai duniya pak daman thi ye jab tak thi mere hujre mein chhod ke mujh ko gunahgar hui hai duniya ain mumkin hai ke bad-nam mujhe bhi kar de meri shohrat se jo bezar hui hai duniya tu nahin tha to ye raunaq bhi kahan thi pahle tere aane se hi gulzar hui hai duniya apni palkon se jhatakte hue kuchh khwabon ko le ke angdaiyan bedar hui hai duniya kuchh dinon se ye khabar gunj rahi hai 'mohsin' ek shair ki talabgar hui hai duniya