hamare dil mein tumhaari chahat kabhi thi jaanan par ab nahin hai

hamare dil mein tumhaari chahat kabhi thi jaanan par ab nahin hai
hamein bhi tum se bahut mohabbat kabhi thi jaanan par ab nahin hai

hum apne ashkon ko rok lenge magar na shikwa koi karenge
tumhaare shane kei wo zarurat kabhi thi jaanan par ab nahin hai

wo ru-e-raushan wo mast aankhen thi jin pe qurban sabhi bahaaren
tumhaare chehre ki aisi rangat kabhi thi jaanan par ab nahin hai

hum itne nadan bhi nahin hain ke barishon mein patang udaen
hamari itni kharab aadat kabhi thi jaanan par ab nahin hai

tumhein pasheman dekhne ka khayal dil mein bahut tha par ab
hamari aankhon ko aisi hasrat kabhi thi jaanan par ab nahin hai

tumhaari jaanib uthen jo aankhen hum aisi aankhon ko noch dalen
hamein raqibon se yun adawat kabhi thi jaanan par ab nahin hai

in aandhiyon se bacha ke rakhna charagh apne tamam 'sahil'
hawa se ladne ki hum mein himmat kabhi thi jaanan par ab nahin hai


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close