jaan-o-dil sunsan hain ujDe qabilon ki tarah

jaan-o-dil sunsan hain ujde qabilon ki tarah
khwahishen khamosh hain bebas fasilon ki tarah

yun kiya bas sans lene bhar ki fursat di hamein
us ne ki hum par masihai bakhilon ki tarah

jis tarah chaha hamein upyog mein laya gaya
hum rahe diwar mein paiwast kilon ki tarah

umr bhar karte rahe hum aasmanon ka safar
manzilen chipki rahin qadmon se milon ki tarah

ek zara si gandh kya pai ki mandrane lagin
kuchh tamannaen hain murda-khor chilon ki tarah

wo zamana aur tha har baat par kahte the ji
ab jirah karne lage bachche wakilon ki tarah


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close