hamare haal ki ja kar unhen khabar to karen wo kyun na aaenge tadbir chaara-gar to karen karenge arz bhi kuchh chain le zara ai dil wo anjuman mein hamari taraf nazar to karen bahut se tishna-e-didar roz ja baithen magar kabhi wo sar-e-rahguzar guzar to karen jala de shama ki manind tu mujhe ai ishq ki aur log zara tujh se al-hazar to karen hum un se zikr nahin karte bazm-e-ada ka ki zikr wo hai ye manzur ho jo shar to karen