main din ko raat ke dariya mein jab utar aaya mujhe zamin ki gardish pe e'tibar aaya main kaun kaun se hisse mein raushni likkhun ki ab to sara ilaqa pas-e-ghubar aaya jo kar raha tha barabar nasihaten mujh ko wo ek daw mein sari hayat haar aaya dayar-e-ishq mein khairaat jab mili mujh ko mere nasib ki jholi mein intizar aaya shab-e-firaq ke lamhe the itne tulani main ek raat mein sadiyan kai guzar aaya nikal saka na dukhon ke hisar se bahar tamam zist isi khol mein guzar aaya hawa ke panw to shal ho gae the raste mein ye kaun patton mein sargoshiyan ubhaar aaya