hamare hath the suraj nae jahanon ke so ab zaminon ke hum hain na aasmanon ke hazar gird laga len qad-awar aaine hasab-nasab bhi to hote hain khandanon ke huruf-bin to sabhi hain magar kise ye shuur kitab padhti hai chehre kitab-khwanon ke ye kya zarur ki namon ke ham-mizaj hon log bahaar aur khizan nam hain zamanon ke wo chahe aa ke na bahar kisi se baat karen khabar makinon ki dete hain dar makanon ke hamari qadr ko samjhe ye asr-e-na-qadran hum ahl-e-fan hain khilaune nahin dukanon ke ab aisi shorish-e-bazar-e-madh mein 'mahshar' khamosh lahje ghanimat hain qadr-danon ke