hayat raqs mein hai kaenat raqs mein hai charagh-e-baada jalao ki raat raqs mein hai sitare aae hain zarron ki bandagi ke liye nawed-e-subh mubarak hayat raqs mein hai kuchh is ada se chala qafila gunahon ka numud-e-subh se ab tak najat raqs mein hai hai ek hashr sa barpa zamin ke sine mein kuchh is tarah nafas-e-hadsat raqs mein hai ye kaun maut ke chehre pe mal gaya kalak fana ki aankhen hain nam aur sabaat raqs mein hai qarib hi kahin pyason ka qafila to nahin machal rahe hain kinare furaat raqs mein hai khuda pe jab se bura waqt aa gaya 'qaisar' hubal ke lab pe hai naghma manat raqs mein hai