hamare ishq ka anjam hum ko kya malum suna hai un ko khabar hai magar khuda-malum wo bad-nasib jo mange to un se kya mange dua ki jis ko khabar ho na muddaa malum na puchh mujh se mere dard-e-dil ka haal na puchh ki ab to dard ka ehsas bhi hai la-ma'lum rah-e-talab mein agar hosh hai to sirf itna ki ja raha hun magar kis taraf khuda-malum 'sahar' karun to karun kya ki dil se hun majbur wagarna khabt-e-mohabbat ka faeda malum