junun-e-ishq le aaya are zalim kahan mujhko

junun-e-ishq le aaya are zalim kahan mujh ko
nazar aati hai apni zindagi ek dastan mujh ko

bulaen lakh subh-o-sham ki ranaiyan mujh ko
kaha jae jise dil ab mayassar hai kahan mujh ko

use tadbir se nisbat use taqdir hi kahiye
dikhae zindagi ki har rawish nakaamiyan mujh ko

qasam in bastiyon se to kahin behtar the virane
mila hai kuchh na kuchh aksar sukun-e-dil jahan mujh ko

abas badle hue mausam ki dilkash chandni raaten
jo bahlaen na teri yaad ki ranginiyan mujh ko

ye nakaami ke baad ehsas-e-nakaami ke hangame
ata kar di hai goya daulat-e-kaun-o-makan mujh ko

'sahar' jazbaat ka mandir hai aur haalat ki puja
na rabt-e-baghban mujh ko na khabt-e-ashiyan mujh ko


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close