hamare jismon mein din hi ka zahr kya kam tha barahna raat bhi aai to sabz mausam tha halakaton ka sila qatilon se kya milta ki qatra qatra lahu ka nazar mein shabnam tha bikharne tutne ka silsila tha rahon mein tamam khwabon ka tabir-nama matam tha garan hai mitti ka tuta hua piyala ab yahi wo hath hain kal jin mein saghar-e-jam tha ghisat rahe the zamin par hazar-ha insan umid-o-bim ka har ek charagh maddham tha main zindagi se shanasa hun is qadar 'ishrat' nigah uthti thi jis samt hu ka aalam tha