hath mein jab tak qalam tha tajribe likhte rahe hum zamin par aasman ke mashware likhte rahe umr kitni kat gai hijrat mein socha hi nahin chehre ki sari lakiren aaine likhte rahe mausamon ki dastaken chikhon mein dab kar rah gain git ki farmaishen thin marsiye likhte rahe tum na padhna wo safar-nama jo nok-e-khar par ku-ba-ku sahra-ba-sahra aable likhte rahe hadse jin par moarrikh ki zaban khulti nahin shahr ki diwar par hum khun se likhte rahe kar-nama aur kya karte ye naqqadan-e-asr nok-e-khanjar se ghazal par hashiye likhte rahe kaifiyat shakh-e-nihaal-e-gham ki 'ishrat' subh-o-sham aate-jate mausamon ke qafile likhte rahe