hamare khun ke pyase pashemani se mar jaen agar hum ek din apni hi nadani se mar jaen aziyyat se janam leti suhulat ras aati hai koi aisi pade mushkil ki aasani se mar jaen adhuri si nazar kafi hai us aaina-dari par agar hum ghaur se dekhen to hairani se mar jaen bana rakkhi hain diwaron pe taswiren parindon ki wagarna hum to apne ghar ki virani se mar jaen agar wahshat ka ye aalam raha to ain-mumkin hai sukun se jite jite bhi pareshani se mar jaen kahin aisa na ho yarab ki ye tarse hue aabid teri jannat mein ashya ki farawani se mar jaen