wo jo nahin hain bazm mein bazm ki shan bhi nahin phul hain dilkashi nahin chand hai chandni nahin dhunda na ho jahan unhen aisi jagah koi nahin pai kuchh un ki jab khabar apni khabar mili nahin aankh mein ho parakh to dekh husn se pur hai kul jahan teri nazar ka hai qusur jalwon ki kuchh kami nahin ishq mein shikwa kufr hai aur har iltija haram tod de kasa-e-murad ishq gadagari nahin josh-e-junun-e-ishq ne kaam mera bana diya ahl-e-khirad karen muaf hajat-e-agahi nahin uf ye nashili ankhdiyan hae ye masti-e-shabab mana ki tum ne pi nahin kaun kahega pi nahin hijr ki shab guzar gai phir bhi 'asar' ye haal hai samne aaftab hai aur kahin raushni nahin