hamare sabr ka ek imtihan baqi hai isi liye to abhi tak ye jaan baqi hai wo nafraton ki imarat bhi gir gai dekho mohabbaton ka ye kachcha makan baqi hai mera usul hai ghazlon mein sach bayan karna main mar gaya to mera khandan baqi hai main chand par hun magar mutmain nahin hun main mere paron mein abhi bhi udan baqi hai mita do jism se meri nishaniyan lekin tumhaari ruh pe mera nishan baqi hai tumhein to sach ko ugalne ki thi badi aadat tumhaare munh mein abhi tak zaban baqi hai hamari maut ko barson guzar gae lekin badan ka khak se ab tak milan baqi hai