jo meri chhat ka rasta chand ne dekha nahin hota to shayad chandni le kar yahan utra nahin hota duaen do tumhein mashhur hum ne kar diya warna nazar-andaz kar dete to ye jalwa nahin hota abhi to aur bhi mausam pade hai mere sae mein main bargad ka shajar hun muddaton budha nahin hota hasinon se tamanna-e-wafa kam-zarf rakhte hain ye aisa khwab hai jo umr-bhar pura nahin hota bade ehsan hain mujh par teri masum yaadon ke main tanha rasto mein bhi kabhi tanha nahin hota main jab jab sher ki gahraiyon mein dub jata hun siwa tere mere dil mein koi chehra nahin hota