hamare sar pe tab koi jahan hota nahin tha

hamare sar pe tab koi jahan hota nahin tha
zamin hoti thi lekin aasman hota nahin tha

hum aksar khel mein haare hain us se is tarah bhi
wahin par dhundte the wo jahan hota nahin tha

nikalte the hamare baat ke matlab hazaron
jo kahna chahte the wo bayan hota nahin tha

main khali waqt mein tute sitare jodta tha
tumhaara hijr aisa raegan hota nahin tha

khuda bhi sath rahta tha hamare is zamin par
ye tab ki baat hai jab aasman hota nahin tha

hamari qurbaten kya thin faqat ek waqia thin
aur aisa waqia jo dastan hota nahin tha


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close