kuchh ab ke jang pe us ki giraft aisi thi dar-asl tha wahi fateh shikast aisi thi khush-amdid nai raushni ko kyun kahti hamari qaum qadamat-parast aisi thi hawas-o-hosh koi bhi na rakh saka qaem hawa-e-taza bhi shoala-ba-dast aisi thi nafas nafas ko hum apna gawah karne lage hamare samt sada-e-alast aisi thi shanakht kar na saka aaina-nazar bhi use har ek shakh-e-badan lakht lakht aisi thi hazar rang ke jalwon se thi faza mamur guzishta raat 'mubarak' nashist aisi thi