hamare sath khuda ho ki hum khuda ke sath magar rahe yahi wabastagi dua ke sath kashid karte hue rahat-e-wajud-o-adam diye ke sath rahunga na main hawa ke sath nae gulab karenge mukalima kis se nikal padunga chaman se agar saba ke sath chhalak na jae kahin saghar-e-mata-e-hosh rahunga aaj kisi dard-ashna ke sath fishaar-e-zabt se rukne lagi hai sans meri muqabla hai kisi sabr-azma ke sath pasand hain mujhe multan ke dar-o-diwar nigar-khana-e-istakhar-o-nainwa ke sath usi charagh se nisbat rakhun abhi 'sajid' ki dil lagaun kisi aur dil-ruba ke sath