hamare shahr-e-adab mein chali hawa kya hai ye kaisa daur hai yarab hamein hua kya hai usi ne aag lagai hai sari basti mein wahi ye puchh raha hai ki majra kya hai ye tera zarf ki tu phir bhi bad-guman na hua siwae dard ke main ne tujhe diya kya hai lapak ke chhin le haq apna kam-sawadon se badha ke hath utha jam dekhta kya hai bhula diya hai jo tum ne to koi baat nahin magar main jaanta aakhir meri khata kya hai ajib shakhs hai kirdar mangta hai mera siwae is ke mere pas ab bacha kya hai kured kar mere zakhmon ko yun sawal na kar tujhe khabar hai to phir mujh se puchhta kya hai mata-e-gham ko bacha rakh chhupa ke sine mein tu is khazane ko auron mein bantta kya hai hazar neamaten us ne tujhe ata ki hain ab aur 'chand' tu is dar se mangta kya hai