har shakhs is hujum mein tanha dikhai de duniya bhi ek ajib tamasha dikhai de ek umr qat-e-wadi-e-shab mein guzar gai ab to kahin sahar ka ujala dikhai de ai mauja-e-sarab-e-tamanna sitam na kar sahra hi samne hai to sahra dikhai de main bhi chala to pyas bujhane ko tha magar sahil ko dekhta hun ki pyasa dikhai de alfaz khatm hon to mile rishta-e-khayal ye gard baith jae to rasta dikhai de kaun apna aks dekh ke hairan palat gaya chehra ye mauj mauj mein kis ka dikhai de tu munkir-e-wafa hai tujhe kya dikhaun dil gham shoala-e-nihan hai bhala kya dikhai de har shab dar-e-khayal pe thahre wo ek chap har shab fasil-e-dil pe wo chehra dikhai de lab-bastagi se aur khile ghuncha-e-sada wo chup rahe to aur bhi goya dikhai de 'aslam' gharib-e-shahr-e-sukhan hai kabhi milen kahte hain aadmi to bhala sa dikhai de