hamare sine ke wast mein aur hi faza hai

hamare sine ke wast mein aur hi faza hai
wahan ruten aur hain jahan khatt-e-istawa hai

umid ko khauf khauf ko kha rahi hai ghaflat
ghizai zanjir ki tarah dil ka silsila hai

hamare rone pe hansne lagte hain aane wale
hamari diwar-e-girya diwar-e-qahqaha hai

tamam aalam phira hun pahuncha kahin nahin hun
pahunch meri na-rasaiyon ki jagah jagah hai

dua nahin qaht mein zahanat hi kaam aai
ye khet masnui barishon se hara hua hai

kidhar kidhar se bachaen sine ki shoalagi ko
badan ke chaaron taraf hi qutbain ki faza hai

hamari aah-o-fughan kisi tak nahin pahunchti
khala mein saut-o-sada ki tarsil masala hai

juda hi rahta hai khaksari se qalb-e-raushan
qamar hamesha zamin ke gird ghumta hai

ye girya hasil hai imtizaj-e-nishat-o-gham ka
asas-o-tezab ke amal se namak bana hai

main tujh ko mazi mein ja ke mumkin hai dekh paun
bashar tajazub ki lahr daryaft kar chuka hai

gunah pe aansu baha ke hun bagh-bagh 'shahid'
mere siyah paniyon mein sabza uga hua hai


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close