ek titli ke par marne se hawaon ki lahron mein tufan paida hua

ek titli ke par marne se hawaon ki lahron mein tufan paida hua
kaise chhote wuque se kitne bade ek wuque ka imkan paida hua

shar-pasandi ka shoala dilon tak jo pahuncha to jal kar shabihen fana ho gain
nazr-e-atish huin aainon ki dukanen to hairat ka bohran paida hua

awwal awwal ye kirdar mazkur tha zindagi ki purani asatir mein
aakhir aakhir zehanat ki paiwand-kari se masnui insan paida hua

tujh se bichhda to guzra sharar ki tarah main bhi pal bhar chamakne ke ehsas se
apni maujudgi ka khayal apne madum hone ke dauran paida hua

dil mein ghaflat ki lahron ke takrao se teri yaadon ki tarsil ruk jaegi
ye zamin dub jaegi tarikiyon mein agar shamsi tufan paida hua

ek hi ruh fitrat ke asrar mein kar-farma hai ashya se anfas tak
jis ki surat-gari ko kahin koi shair kahin kimiya-dan paida hua


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close